logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2006

sajjad se pucho

sajjad se pucho

(Sajjad se pucho) x2

Zainab ne jo puchi gayi, rudad-e-safar ki, dil thaam ke, kehne lagi, ye Zainab-e-muztar

(Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho) x2

Maghmoom aseeri ka, khula shaam mei jaakar
Jab nawha kuna nok-e-sina par huwe sarwar

Bhayya ne jo nawha kiya, yasrab ke makeeno

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

Mehfooz hai ankho(n) mei, aziyyat ke wo lam hai
Sadaat khule sar the tamashayi khare the

Us dard ki shiddat ko agar poochna chaaho

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

The haath passe pusht bandhe sar mei pari khaak
Sadmo(n)ho se kaleje the gharebaa(n) ki tarha chaak

Ay logo mile zakhm jo un aaho(n) kham to

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

Jab girta tha Abbas ka sar nok-e-sina se
Kya is ka sabab hai jo laee(n) poochne aate

Mei kehti thi mujhse nahi, ye baat laeeno(n)

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

Patthar kahi barsaaye gaye ehl-e-haram par
Baghi kabhi kehlayi gayi aal-e-payambar

Afsos yahi hai ke musalmaa(n) the sabi to

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

Jab girgayi naake se mere bhaayi ki dukhtar
Wo neza ruka jispe rakha tha sar-e-sarwar

Us dam jo aziyyat huwi awlaad-e-nabi ko

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

Jab milgayi zindaa(n) se aseero(n) ko rihaayi
Ghar jaayenge na jaaye kaho Fatema jaayi

Rokar kaha Zainab ne ke mujhse nahi paano

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

Jab "Mazhar-o-Irfan" kiya Sughra ne nawha
Zainab ki zaeefi ka sabab maa(n) se jo pucha

Maa(n) kehne lagi roke kaleje ko sambhaalo

Sajjad se pucho, Kya beet gayi shaam ke bazaar me logo, sajjad se pucho

HomebookmarkmybayaazSetting